Bangal ki main shaam-o-shahar dekh raha hoon
har chand ke hoon door magar dekh raha hoon
iflaas ki maari hui makhlookh sare raah
be-goro kafan khaak basar dekh raha hoon
insaan ke hote huye insaan ka ye hashr
dekha nahin jaata hai magar dekh raha hoon
rehmat ka chamakne ko hai fir nayare taaban
hone ko hai is shab ki sahar dekh raha hoon
----